Falak Se Chand Chaman Se Gulab Le Aae

falak se chand chaman se gulab le aae

kahan se koi tumhaara jawab le aae

hazar rang hain husn-o-jamal ke lekin

wo rang aur hai jis ko shabab le aae

ajib turfa-tamasha hai zindagi meri

KHushi bhi aae to gham be-hisab le aae

tere KHamir mein shamil hai gumrahi warna

falak se kitne payambar kitab le aae

idhar wo tishna-labi hai ki jaan-ba-lab hain hum

udhar wo dast-e-karam par sarab le aae

usi ki aaj bhi rahti hain muntazir aankhen

jo aa bhi jae to sad iztirab le aae

ye sher-goi hai 'aKHlaq' koi khel nahin

kare wo mashq jo chhalni mein aab le aae

(1279) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Falak Se Chand Chaman Se Gulab Le Aae In English By Famous Poet Akhlaque Bandvi. Falak Se Chand Chaman Se Gulab Le Aae is written by Akhlaque Bandvi. Read famous Poem Falak Se Chand Chaman Se Gulab Le Aae for youth and Student by Akhlaque Bandvi. Free Download Falak Se Chand Chaman Se Gulab Le Aae in PDF.