Faujiyon Ke Sar To Dushman Ke Sipahi Le Gae

faujiyon ke sar to dushman ke sipahi le gae

hath jo qimat lagi zill-e-ilahi le gae

jurm mera sirf itna tha ki main mujrim na tha

qaid tak mujh ko subut-e-be-gunahi le gae

ab wahi duniya mein Thahre amn-e-alam ke amin

jo aman ki ja tak asbab-e-tabahi le gae

shikwa-e-jalwa-numai sirf un ke lab pe hai

jo teri mahfil mein apni kam-nigahi le gae

tum haram se le gae shab ki siyahi aur hum

mai-kade se bhi ziya-e-subh-gahi le gae

main idhar 'aKHlaq' ki taqsim mein masruf tha

log udhar meri ada-e-kaj-kulahi le gae

(837) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Faujiyon Ke Sar To Dushman Ke Sipahi Le Gae In English By Famous Poet Akhlaque Bandvi. Faujiyon Ke Sar To Dushman Ke Sipahi Le Gae is written by Akhlaque Bandvi. Read famous Poem Faujiyon Ke Sar To Dushman Ke Sipahi Le Gae for youth and Student by Akhlaque Bandvi. Free Download Faujiyon Ke Sar To Dushman Ke Sipahi Le Gae in PDF.