Idhar Charagh Jal Gae Udhar Charagh Jal Gae

idhar charagh jal gae udhar charagh jal gae

jidhar jidhar uThi teri nazar charagh jal gae

ye aur baat raat bhar ka tai na kar sake safar

magar ye kam nahin ki waqt par charagh jal gae

hawa ka aisa zor tha ki ek bala ka shor tha

isi faza mein jo the ba-hunar charagh jal gae

hai baat yun to raat ki magar na ehtiyat ki

to kya karoge dafatan agar charagh jal gae

jo sath subh se chale wo sare log din Dhale

usi taraf ko ho liye jidhar charagh jal gae

wo tirgi ka jal tha ki ab safar muhaal tha

hua ye tere nam ka asar charagh jal gae

(787) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Idhar Charagh Jal Gae Udhar Charagh Jal Gae In English By Famous Poet Akhlaque Bandvi. Idhar Charagh Jal Gae Udhar Charagh Jal Gae is written by Akhlaque Bandvi. Read famous Poem Idhar Charagh Jal Gae Udhar Charagh Jal Gae for youth and Student by Akhlaque Bandvi. Free Download Idhar Charagh Jal Gae Udhar Charagh Jal Gae in PDF.