Justuju Ne Teri Har Chand Thaka Rakkha Hai

justuju ne teri har chand thaka rakkha hai

phir bhi kya gham ki isi mein to maza rakkha hai

kuchh to apni bhi tabiat hai gurezan un se

kuchh mizaj un ka bhi bar-dosh-e-hawa rakkha hai

kya tujhe ilm nahin teri raza ki KHatir

main ne kis kis ko zamane mein KHafa rakkha hai

jab nazar uTThi ruKH-e-yar pe ja kar Thahri

jaise aankhon mein koi qibla-numa rakkha hai

kaun hun kya hun kahan hun mujhe malum nahin

zindagi tu ne ye kis moD pe la rakkha hai

nam ka aks bhi aaina-e-kirdar mein rakh

nam 'aKHlaq' sahi nam mein kya rakkha hai

(859) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Justuju Ne Teri Har Chand Thaka Rakkha Hai In English By Famous Poet Akhlaque Bandvi. Justuju Ne Teri Har Chand Thaka Rakkha Hai is written by Akhlaque Bandvi. Read famous Poem Justuju Ne Teri Har Chand Thaka Rakkha Hai for youth and Student by Akhlaque Bandvi. Free Download Justuju Ne Teri Har Chand Thaka Rakkha Hai in PDF.