Mujhse Mat Puchh Mera Haal-e-darun Rahne De

mujh se mat puchh mera haal-e-darun rahne de

sun ke Tapkega teri aankhon se KHun rahne de

fasl-e-gul dasht-e-KHirad mein hai agarche maujud

mujh ko pa-basta-e-zanjir-e-junun rahne de

tu karam mujh pe karega to jataega zarur

haal jo mera zubun hai to zubun rahne de

sadgi si koi zinat nahin hoti jaanan

apni in shoKH adaon ka fusun rahne de

chheD kar phir wahi mazi ke purane qisse

mujh se mat chhin mere dil ka sukun rahne de

ai zamana main tere sath badalne se raha

ab main achchha ki bura jaisa bhi hun rahne de

(1068) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhse Mat Puchh Mera Haal-e-darun Rahne De In English By Famous Poet Akhlaque Bandvi. Mujhse Mat Puchh Mera Haal-e-darun Rahne De is written by Akhlaque Bandvi. Read famous Poem Mujhse Mat Puchh Mera Haal-e-darun Rahne De for youth and Student by Akhlaque Bandvi. Free Download Mujhse Mat Puchh Mera Haal-e-darun Rahne De in PDF.