Wahi Hai Gardish-e-dauran Wahi Lail-o-nahaar Ab Bhi

wahi hai gardish-e-dauran wahi lail-o-nahaar ab bhi

raha karta hai roz-o-shab kisi ka intizar ab bhi

kabhi din bhar teri baaten kabhi yaadon bhari raaten

teri furqat mein jine ke bahane hain hazar ab bhi

tera jalwa jo pa jati chaman mein ja ke iThlati

bhikaran ban ke baiThi hai tere dar par bahaar ab bhi

KHushi har-chand hai tari gai gham ki giran-bari

chhalak jati hain aankhen aadatan be-iKHtiyar ab bhi

hue hain muntashir warna sitamgar tum se kya Darna

hamari Thokaron mein hai tumhaara eqtidar ab bhi

agar 'aKHlaq' se milte mohabbat ke chaman khilte

na banti bazm-e-yaran ek gah-e-kar-zar ab bhi

(1110) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahi Hai Gardish-e-dauran Wahi Lail-o-nahaar Ab Bhi In English By Famous Poet Akhlaque Bandvi. Wahi Hai Gardish-e-dauran Wahi Lail-o-nahaar Ab Bhi is written by Akhlaque Bandvi. Read famous Poem Wahi Hai Gardish-e-dauran Wahi Lail-o-nahaar Ab Bhi for youth and Student by Akhlaque Bandvi. Free Download Wahi Hai Gardish-e-dauran Wahi Lail-o-nahaar Ab Bhi in PDF.