Gham-e-hayat Kahani Hai Qissa-KHwan Hun Main

gham-e-hayat kahani hai qissa-KHwan hun main

dil-e-sitam-zada hai raaz-dan hun main

ziyaada is se koi aaj tak bata na saka

ki ek nukta-e-na-qabil-e-bayan hun main

nazar ke samne kaundi thi ek bijli si

mujhe batao KHuda-ra ki ab kahan hun main

KHizan ne luT liya gulshan-e-shabab magar

kisi bahaar ke arman mein jawan hun main

ye kah rahi hai nazar ki gham-e-afrin jumbish

kisi ke dil ki tabahi ki dastan hun main

KHizan kahti thi main shoKHi-e-bahaaran hun

bahaar kahti hai rangini-e-KHizan hun main

shabab nam hai us jaan-nawaz lamhe ka

jab aadmi ko ye mahsus ho jawan hun main

jahan-e-dard-o-alam pujta hai mujh ko aah

tapish-e-jabin hai lahu sajda aastan hun main

wo din bhi the ki main jaan-e-shabab tha 'aKHtar'

ab apne ahd-e-jawani ki dastan hun main

(801) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham-e-hayat Kahani Hai Qissa-KHwan Hun Main In English By Famous Poet Akhtar Ansari. Gham-e-hayat Kahani Hai Qissa-KHwan Hun Main is written by Akhtar Ansari. Read famous Poem Gham-e-hayat Kahani Hai Qissa-KHwan Hun Main for youth and Student by Akhtar Ansari. Free Download Gham-e-hayat Kahani Hai Qissa-KHwan Hun Main in PDF.