Gham-zada Hain Mubtala-e-dard Hain Nashad Hain

gham-zada hain mubtala-e-dard hain nashad hain

hum kisi afsana-e-ghamnak ke afrad hain

gardish-e-aflak ke hathon bahut barbaad hain

hum lab-e-ayyam par ek dukh bhari fariyaad hain

hafize par ishraton ke naqsh baqi hain abhi

tu ne jo sadme sahe ai dil tujhe bhi yaad hain

raat bhar kahte hain tare dil se rudad-e-shabab

in ko meri wo shabab-afroz raaten yaad hain

aKHtar'-e-na-shad ki parchhain se bachte rahen

jo zamane mein shagufta-KHatir o dil-e-shad hain

(1835) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham-zada Hain Mubtala-e-dard Hain Nashad Hain In English By Famous Poet Akhtar Ansari. Gham-zada Hain Mubtala-e-dard Hain Nashad Hain is written by Akhtar Ansari. Read famous Poem Gham-zada Hain Mubtala-e-dard Hain Nashad Hain for youth and Student by Akhtar Ansari. Free Download Gham-zada Hain Mubtala-e-dard Hain Nashad Hain in PDF.