Har Waqt Nauha-KHwan Si Rahti Hain Meri Aankhen

har waqt nauha-KHwan si rahti hain meri aankhen

ek dukh bhari kahani kahti hain meri aankhen

jazbaat-e-dil ki shiddat sahti hain meri aankhen

gul-rang aur shafaq-gun rahti hain meri aankhen

aish o tarab ke jalse dard o alam ke manzar

kya kuchh na hum ne dekha kahti hain meri aankhen

jab se dil o jigar ki hamdard ban gai hain

ghamginiyon mein Dubi rahti hain meri aankhen

labrez ho ke dil ka saghar chhalak uTha hai

shayad isi sabab se bahti hain meri aankhen

har jumbish-e-nazar hai rudad-e-ishq 'aKHtar'

hain be-zaban magar kuchh kahti hain meri aankhen

(664) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Waqt Nauha-KHwan Si Rahti Hain Meri Aankhen In English By Famous Poet Akhtar Ansari. Har Waqt Nauha-KHwan Si Rahti Hain Meri Aankhen is written by Akhtar Ansari. Read famous Poem Har Waqt Nauha-KHwan Si Rahti Hain Meri Aankhen for youth and Student by Akhtar Ansari. Free Download Har Waqt Nauha-KHwan Si Rahti Hain Meri Aankhen in PDF.