Hayat Insan Ki Sar Ta Pa Zaban Malum Hoti Hai

hayat insan ki sar ta pa zaban malum hoti hai

ye duniya inqilab-e-asman malum hoti hai

mukaddar hai KHizan ke KHun se aish-e-bahaar-e-gul

KHizan ki rut bahaar-e-be-KHizan malum hoti hai

mujhe nakaami-e-paiham se mayusi nahin hoti

abhi ummid meri naujawan malum hoti hai

koi jab nala karta hai kaleja tham leta hun

fughan-e-ghair bhi apni fughan malum hoti hai

maal-e-dard-o-gham dekho sada-e-saz-e-ishrat bhi

utar jati hai jab dil mein fughan malum hoti hai

chaman mein andalib-e-zar ki fariyaad ai 'aKHtar'

dil-e-nadan ko apni dastan malum hoti hai

(799) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hayat Insan Ki Sar Ta Pa Zaban Malum Hoti Hai In English By Famous Poet Akhtar Ansari. Hayat Insan Ki Sar Ta Pa Zaban Malum Hoti Hai is written by Akhtar Ansari. Read famous Poem Hayat Insan Ki Sar Ta Pa Zaban Malum Hoti Hai for youth and Student by Akhtar Ansari. Free Download Hayat Insan Ki Sar Ta Pa Zaban Malum Hoti Hai in PDF.