Jaan-sapari Ke Bhi Arman Zindagi Ki Aas Bhi

jaan-sapari ke bhi arman zindagi ki aas bhi

hifz-e-namus-e-alam bhi nish-e-gham ka pas bhi

KHak dar-bar hi sahi main KHak bhi wo KHak hai

jis mein mere zaKHm-e-dil ki bu bhi hai aur bas bhi

kitne daur-e-charKH un aankhon ne dekhe kuchh na puchh

miT chuka hai waqt ki raftar ka ehsas bhi

hae wo ek nashtar-agin neshtar-afroz yaad

jis ke aage hech apni burrish-e-infas bhi

hum na the kuchh KHud hi us saude pe raazi warna yun

ras aane ko ye duniya aa hi jati ras bhi

KHud ko ai dil yas-e-kaamil ke hawale yun na kar

jhankti hai zehn ke ghurfe se koi aas bhi

kaun us wadi se uchhla ta-sar-e-arsh-e-barin

gum hain jis wadi mein 'aKHtar' KHizr bhi ilyas bhi

(877) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaan-sapari Ke Bhi Arman Zindagi Ki Aas Bhi In English By Famous Poet Akhtar Ansari. Jaan-sapari Ke Bhi Arman Zindagi Ki Aas Bhi is written by Akhtar Ansari. Read famous Poem Jaan-sapari Ke Bhi Arman Zindagi Ki Aas Bhi for youth and Student by Akhtar Ansari. Free Download Jaan-sapari Ke Bhi Arman Zindagi Ki Aas Bhi in PDF.