Nafraton Se Chehra Chehra Gard Tha

nafraton se chehra chehra gard tha

mujrim-e-insaniyat har fard tha

kuchh hawaon mein bhi tha KHauf-o-hiras

kuchh fazaon ka bhi chehra zard tha

be-hisi mein dafn thi insaniyat

aadamiyyat ka bhi lahja sard tha

apne kandhon par uThae apna bojh

koi aawara koi shab-gard tha

phul se chehre the murjhae hue

shahr-e-gul bhi aaj shahr-e-dard tha

jis ne duniya bhar ke gham apnae the

us ko duniya ne kaha be-dard tha

sach to 'aKHtar' ye hai us mahaul mein

mera dushman hi mera hamdard tha

(593) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nafraton Se Chehra Chehra Gard Tha In English By Famous Poet Akhtar Feroz. Nafraton Se Chehra Chehra Gard Tha is written by Akhtar Feroz. Read famous Poem Nafraton Se Chehra Chehra Gard Tha for youth and Student by Akhtar Feroz. Free Download Nafraton Se Chehra Chehra Gard Tha in PDF.