Tufan-e-abr-o-baad Se Har-su Nami Bhi Hai

tufan-e-abr-o-baad se har-su nami bhi hai

peDon ke TuTne ka saman didani bhi hai

arzan hai apne shahr mein pani ki tarah KHun

warna wafa ka KHun baDa qimti bhi hai

yaro shaguft-e-gul ki sada par chale chalo

dasht-e-junun ke moD pe kuchh raushni bhi hai

TuTe hue makan hain magar chand se makin

is shahr-e-arzu mein ek aisi gali bhi hai

begana-war guzri chali ja rahi hai zist

muD muD ke doston ki tarah dekhti bhi hai

'aKHtar' guzarte lamhon ki aahaT pe yun na chaunk

is matami julus mein ek zindagi bhi hai

(798) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tufan-e-abr-o-baad Se Har-su Nami Bhi Hai In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. Tufan-e-abr-o-baad Se Har-su Nami Bhi Hai is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Tufan-e-abr-o-baad Se Har-su Nami Bhi Hai for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download Tufan-e-abr-o-baad Se Har-su Nami Bhi Hai in PDF.