Ufuq Ufuq Nae Suraj Nikalte Rahte Hain

ufuq ufuq nae suraj nikalte rahte hain

diye jalen na jalen dagh jalte rahte hain

meri gali ke makin ye mere rafiq-e-safar

ye log wo hain jo chehre badalte rahte hain

zamane ko to hamesha safar mein rahna hai

jo qafile na chalen raste chalte rahte hain

hazar sang-e-giran ho hazar jabr-e-zaman

magar hayat ke chashme ubalte rahte hain

ye aur baat ki hum mein hi sabr-o-zabt nahin

ye aur baat ki lamhat Talte rahte hain

ye waqt-e-sham hai ya rab dil o nazar ki ho KHair

ki is samay mein to sae bhi Dhalte rahte hain

kabhi wo din the zamane se aashnai thi

aur aaine se ab 'aKHtar' bahalte rahte hain

(628) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ufuq Ufuq Nae Suraj Nikalte Rahte Hain In English By Famous Poet Akhtar Hoshiyarpuri. Ufuq Ufuq Nae Suraj Nikalte Rahte Hain is written by Akhtar Hoshiyarpuri. Read famous Poem Ufuq Ufuq Nae Suraj Nikalte Rahte Hain for youth and Student by Akhtar Hoshiyarpuri. Free Download Ufuq Ufuq Nae Suraj Nikalte Rahte Hain in PDF.