Kahan Jaen ChhoD Ke Hum Use Koi Aur Uske Siwa Bhi Hai

kahan jaen chhoD ke hum use koi aur us ke siwa bhi hai

wahi dard-e-dil bhi hai dosto wahi dard-e-dil ki dawa bhi hai

meri kashti lakh bhanwar mein hai na karunga main teri minnaten

ye pata nahin tujhe naKHuda mere sath mera KHuda bhi hai

ye ada bhi us ki ajib hai ki baDha ke hausla-e-nazar

mujhe izn-e-did diya bhi hai mere dekhne pe KHafa bhi hai

meri samt mahfil-e-ghair mein wo ada-e-naz se dekhna

jo KHata-e-ishq ki hai saza to meri wafa ka sila bhi hai

jo hujum-e-gham se hai aankh nam to labon pe nale hain dam-ba-dam

use kis tarah se chhupaen hum kahin raaz-e-ishq chhupa bhi hai

ye baja ki 'aKHtar'-e-muslimi hai zamane bhar se bura magar

use dekhiye jo KHulus se to bhalon mein ek bhala bhi hai

(674) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahan Jaen ChhoD Ke Hum Use Koi Aur Uske Siwa Bhi Hai In English By Famous Poet Akhtar Muslimi. Kahan Jaen ChhoD Ke Hum Use Koi Aur Uske Siwa Bhi Hai is written by Akhtar Muslimi. Read famous Poem Kahan Jaen ChhoD Ke Hum Use Koi Aur Uske Siwa Bhi Hai for youth and Student by Akhtar Muslimi. Free Download Kahan Jaen ChhoD Ke Hum Use Koi Aur Uske Siwa Bhi Hai in PDF.