Kis Ko Kahte Hain Jafa Kya Hai Wafa Yaad Nahin

kis ko kahte hain jafa kya hai wafa yaad nahin

ai mohabbat mujhe kuchh tere siwa yaad nahin

dekhiye hoti hai kis tarah shab-e-gham ki sahar

ab to ai dard-e-jigar koi dua yaad nahin

ho gai KHatm rah-o-rasm-e-mohabbat shayad

main wafa bhul gaya un ko jafa yaad nahin

yun bhi kar sakte ho barbaad-e-mohabbat pe karam

hum ne mana ki tumhein ahd-e-wafa yaad nahin

dil-e-diwana pe ilzam lagane wale

jis ne diwana banaya wo ada yaad nahin

jis se 'aKHtar' ho mere dard-e-mohabbat ka ilaj

kya masiha-nafason ko wo dawa yaad nahin

(701) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Ko Kahte Hain Jafa Kya Hai Wafa Yaad Nahin In English By Famous Poet Akhtar Muslimi. Kis Ko Kahte Hain Jafa Kya Hai Wafa Yaad Nahin is written by Akhtar Muslimi. Read famous Poem Kis Ko Kahte Hain Jafa Kya Hai Wafa Yaad Nahin for youth and Student by Akhtar Muslimi. Free Download Kis Ko Kahte Hain Jafa Kya Hai Wafa Yaad Nahin in PDF.