Dil Hi Rah-e-talab Mein Na Khona PaDa Mujhe

dil hi rah-e-talab mein na khona paDa mujhe

hath apni zindagi se bhi dhona paDa mujhe

ek din mein hans paDa tha kisi ke KHayal mein

ta-umr itni baat pe rona paDa mujhe

ek bar un ko pane ki dil mein thi aarzu

sau bar apne aap ko khona paDa mujhe

barbaad ho gaya hun magar mutmain hai dil

sharminda-e-karam to na hona paDa mujhe

dekhi gai na mujh se jo tufan ki bebasi

kashti ko apni aap Dubona paDa mujhe

jalwe kahan kisi ke bisat-e-nazar kahan

zarre mein aaftab samona paDa mujhe

'aKHtar' junun-e-ishq ke maron ko dekh kar

ahl-e-KHirad hanse hain to rona paDa mujhe

(662) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Hi Rah-e-talab Mein Na Khona PaDa Mujhe In English By Famous Poet Akhtar Muslimi. Dil Hi Rah-e-talab Mein Na Khona PaDa Mujhe is written by Akhtar Muslimi. Read famous Poem Dil Hi Rah-e-talab Mein Na Khona PaDa Mujhe for youth and Student by Akhtar Muslimi. Free Download Dil Hi Rah-e-talab Mein Na Khona PaDa Mujhe in PDF.