Dariya Nazar Na Aae Na Sahra Dikhai De

dariya nazar na aae na sahra dikhai de

josh-e-junun ho jis ko use kya dikhai de

main aa gaya kahan ki ye hasrat nazar ko hai

ai kash is jagah koi apna dikhai de

KHandan-jabin labon pe hansi pur-KHulus dil

daur-e-tarab mein koi to aisa dikhai de

KHwahan hain wo ki sara zamana ho un ke sath

auron ko chahte hain ki tanha dikhai de

'aKHtar' ko dekhte nahin achchhi nazar se aap

phir bhi ye chahte hain ki achchha dikhai de

(848) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dariya Nazar Na Aae Na Sahra Dikhai De In English By Famous Poet Akhtar Muslimi. Dariya Nazar Na Aae Na Sahra Dikhai De is written by Akhtar Muslimi. Read famous Poem Dariya Nazar Na Aae Na Sahra Dikhai De for youth and Student by Akhtar Muslimi. Free Download Dariya Nazar Na Aae Na Sahra Dikhai De in PDF.