Na Samajh Saki Jo Duniya Ye Zaban-e-be-zabani

na samajh saki jo duniya ye zaban-e-be-zabani

tera chehra KHud kahega mere qatl ki kahani

ye azab-e-asmani ye itab-e-na-gahani

hain kahan samajhne wale mere aansuon ko pani

kahin luT raha hai KHirman kahin jal raha hai gulshan

use kis ne saunp di hai ye chaman ki pasbani

meri tujh se kya hai nisbat mera tujh se wasta kya

tu haris-e-lala-o-gul main fida-e-baghbani

tujhe naz husn par hai mujhe naz ishq par hai

tera husn chand-roza mera ishq jawedani

ye wo dil-ruba hai duniya mere dosto ki jis ki

na koi ada nai hai na koi ada purani

koi us se kah de 'aKHtar' zara hosh mein wo aae

na rahega zindagi bhar ye surur-e-shadmani

(791) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Samajh Saki Jo Duniya Ye Zaban-e-be-zabani In English By Famous Poet Akhtar Muslimi. Na Samajh Saki Jo Duniya Ye Zaban-e-be-zabani is written by Akhtar Muslimi. Read famous Poem Na Samajh Saki Jo Duniya Ye Zaban-e-be-zabani for youth and Student by Akhtar Muslimi. Free Download Na Samajh Saki Jo Duniya Ye Zaban-e-be-zabani in PDF.