Us Mah-jabin Se Aaj Mulaqat Ho Gai

us mah-jabin se aaj mulaqat ho gai

bedard aasman ye kya baat ho gai

aawargan-e-ishq ka maskan na puchhiye

paD rahte hain wahin pe jahan raat ho gai

zikr-e-shab-e-visal ho kya qissa muKHtasar

jis baat se wo Darte the wo baat ho gai

masjid ko hum chale gae masti mein bhul kar

hum se KHata ye pir-e-KHarabaat ho gai

pichhle ghamon ka zikr hi kya jab wo mil gae

ai aasman talafi-e-mafat ho gai

zahid ko zindagi hi mein kausar chakha diya

rindon se aaj ye bhi karamat ho gai

bechain rakhne wale pareshan hon KHud na kyun

aaKHir ko teri zulf meri raat ho gai

jhula jhulaen chal ke hasinon ko bagh mein

gujraat mein suna hai ki barsat ho gai

kya faeda ab 'aKHtar' agar parsa bane

jab sari umr nazr-e-KHarabaat ho gai

(899) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Mah-jabin Se Aaj Mulaqat Ho Gai In English By Famous Poet Akhtar Shirani. Us Mah-jabin Se Aaj Mulaqat Ho Gai is written by Akhtar Shirani. Read famous Poem Us Mah-jabin Se Aaj Mulaqat Ho Gai for youth and Student by Akhtar Shirani. Free Download Us Mah-jabin Se Aaj Mulaqat Ho Gai in PDF.