Ab Bhi Zarron Pe Sitaron Ka Guman Hai Ki Nahin

ab bhi zarron pe sitaron ka guman hai ki nahin

zer-e-pa ab bhi tere kahkashan hai ki nahin

ab bhi wo jashn-e-tarab hai ki nahin maqtal mein

ek tamashe ko hujum-e-nigaran hai ki nahin

ab bhi fariyaad-ba-lab hai ki nahin randa-e-ishq

wo hi be-chaargi-e-dil-zadagan hai ki nahin

kahiye nam hai ki nahin chashm-e-nadamat-asar

qafile walon ko ehsas-e-ziyan hai ki nahin

har gul-e-nam ke liye hai ki nahin gardish-e-chaak

ye jahan kargah-e-kuza-garan hai ki nahin

wo mera dushman-e-jaan hai ki nahin sang-ba-dast

raegan koshish-e-sad-shisha-garan hai ki nahin

'tishna' kuchh sab se juda hai ki nahin teri ghazal

munfarid 'sauda' ka andaz-e-bayan hai ki nahin

(797) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Bhi Zarron Pe Sitaron Ka Guman Hai Ki Nahin In English By Famous Poet Alamtaab Tishna. Ab Bhi Zarron Pe Sitaron Ka Guman Hai Ki Nahin is written by Alamtaab Tishna. Read famous Poem Ab Bhi Zarron Pe Sitaron Ka Guman Hai Ki Nahin for youth and Student by Alamtaab Tishna. Free Download Ab Bhi Zarron Pe Sitaron Ka Guman Hai Ki Nahin in PDF.