Ahd-e-kam-koshi Mein Ye Bhi Hausla Maine Kiya

ahd-e-kam-koshi mein ye bhi hausla main ne kiya

shahr ke sab band darwazon ko wa main ne kiya

main ne saf-ara kiya ek majma-e-shorida-sar

kaj-kulah-e-shahr ko be-majra main ne kiya

de diye mahrumiyon ke hath mein jam-o-subu

mai-kade mein ek hangama bapa main ne kiya

main adalat mein uTha laya hun KHud apni salib

mere munsif dekh ye bhi faisla main ne kiya

main ne majnun ko diya dars-e-suluk-e-ashiqi

chaak-daman ko mohabbat ki jaza main ne kiya

main ne aiwanon mein phenke sang-e-jurat-afrin

nashsha-e-taqat-asar ko be-maza main ne kiya

is se baDh kar aur kya hoga subub-e-bandagi

mujh se 'tishna' us ne jo kuchh bhi kaha main ne kiya

(711) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ahd-e-kam-koshi Mein Ye Bhi Hausla Maine Kiya In English By Famous Poet Alamtaab Tishna. Ahd-e-kam-koshi Mein Ye Bhi Hausla Maine Kiya is written by Alamtaab Tishna. Read famous Poem Ahd-e-kam-koshi Mein Ye Bhi Hausla Maine Kiya for youth and Student by Alamtaab Tishna. Free Download Ahd-e-kam-koshi Mein Ye Bhi Hausla Maine Kiya in PDF.