Asir-e-dasht-e-bala Ka Na Majra Kahna

asir-e-dasht-e-bala ka na majra kahna

tamam puchhne walon ko bas dua kahna

ye kahna raat guzarti hai ab bhi aankhon mein

tumhaari yaad ka qaem hai silsila kahna

ye kahna ab bhi sulagta hai jism ka chandan

tumhaara qurb tha ek shola-e-hina kahna

ye kahna chand utarta hai baam par ab bhi

magar nahin wo shab-e-mah ka maza kahna

ye kahna masnad-e-shaKH-e-numu pe tha jo kabhi

wo phul surat-e-KHushbu bikhar gaya kahna

ye kahna qarya-e-jaan mein hain dam-ba-KHud sab log

tamam shahr hua maqtal-e-nawa kahna

ye kahna hasrat tamir ab bhi hai dil mein

bana liya hai makan to makan-numa kahna

ye kahna hum ne hi tufan mein Dal di kashti

qusur apna hai dariya ko kya bura kahna

ye kahna ho gae hum itne maslahat-andesh

chale jo lu to use abhi KHunuk hawa kahna

ye kahna haar na mani kabhi andheron se

bujhe charagh to dil ko jala liya kahna

ye kahna tum se bichhaD kar bikhar gaya 'tishna'

ki jaise hath se gir jae aaina kahna

(741) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Asir-e-dasht-e-bala Ka Na Majra Kahna In English By Famous Poet Alamtaab Tishna. Asir-e-dasht-e-bala Ka Na Majra Kahna is written by Alamtaab Tishna. Read famous Poem Asir-e-dasht-e-bala Ka Na Majra Kahna for youth and Student by Alamtaab Tishna. Free Download Asir-e-dasht-e-bala Ka Na Majra Kahna in PDF.