Dard Ki Ek Lahr Bal Khati Hai Yun Dil Ke Qarib

dard ki ek lahr bal khati hai yun dil ke qarib

mauj-e-sar-gashta uThe jis tarah sahil ke qarib

ma-siwa-e-kar-ah-o-ashk kya hai ishq mein

hai sawad-e-ab-o-atish dida-o-dil ke qarib

dard mein Dubi hui aati hai aawaz-e-jaras

giriya-e-gum-gashtagi sunta hun manzil ke qarib

aarzu nayaft ki hai silsila-dar-silsila

hai numud-e-karb-e-la-hasil bhi hasil ke qarib

kuchh to ai nazzargan-e-aish-e-sahil boliye

kashtiyan kitni huin gharqab sahil ke qarib

hai abhi wamandgi ko ek safar darpesh aur

hai abhi uftad-e-manzil aur manzil ke qarib

rang-e-hasrat ka tamasha dekhna tha gar tumhein

raqs-e-aKHir dekhte tum aa ke bismil ke qarib

hain wo sab 'tishna' sar-e-manzil amir-e-karwan

jo mile the karwan se aa ke manzil ke qarib

(810) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dard Ki Ek Lahr Bal Khati Hai Yun Dil Ke Qarib In English By Famous Poet Alamtaab Tishna. Dard Ki Ek Lahr Bal Khati Hai Yun Dil Ke Qarib is written by Alamtaab Tishna. Read famous Poem Dard Ki Ek Lahr Bal Khati Hai Yun Dil Ke Qarib for youth and Student by Alamtaab Tishna. Free Download Dard Ki Ek Lahr Bal Khati Hai Yun Dil Ke Qarib in PDF.