Ginti Mein Be-shumar The Kam Kar Diye Gae

ginti mein be-shumar the kam kar diye gae

hum sath ke qabilon mein zam kar diye gae

pahle nisab-e-aql hua hum se intisab

phir yun hua ki qatl bhi hum kar diye gae

pahle lahuluhan kiya hum ko shahr ne

phir pairahan hamare alam kar diye gae

pahle hi kam thi qarya-e-jaanan mein raushni

aur us pe kuchh charagh bhi kam kar diye gae

is daur-e-na-shanas mein hum se arab-nazhad

lab kholne lage to ajam kar diye gae

(810) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ginti Mein Be-shumar The Kam Kar Diye Gae In English By Famous Poet Alamtaab Tishna. Ginti Mein Be-shumar The Kam Kar Diye Gae is written by Alamtaab Tishna. Read famous Poem Ginti Mein Be-shumar The Kam Kar Diye Gae for youth and Student by Alamtaab Tishna. Free Download Ginti Mein Be-shumar The Kam Kar Diye Gae in PDF.