Hisar-e-maqtal-e-jaan Mein Lahu Lahu Main Tha

hisar-e-maqtal-e-jaan mein lahu lahu main tha

rasan rasan meri wahshat gulu gulu main tha

jo rah gaya nigah-e-sozan-e-mashiyyat se

qaba-e-zist ka wo chaak-e-be-rafu main tha

zamana hansta raha meri KHud-kalami par

tere KHayal se masruf-e-guftugu main tha

tha aaine mein shikast-e-ghurur-e-yaktai

ki apne aks ke parde mein hu-ba-hu main tha

tu apni zat ke har pech-o-KHam se puchh ke dekh

qadam qadam meri aahaT thi ku-ba-ku main tha

har ek wadi-o-kohsar se guzarta hua

jo aabshaar bana tha wo aabju main tha

KHutan KHutan thi shalang-e-ghazal mere liye

badan badan mera nashsha subu subu main tha

tamam umr ki diwangi ke baad khula

main teri zat mein pinhan tha aur tu main tha

maal-e-umr-e-mohabbat hai bas yahi 'tishna'

meri talash tha wo us ki justuju main tha

(776) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hisar-e-maqtal-e-jaan Mein Lahu Lahu Main Tha In English By Famous Poet Alamtaab Tishna. Hisar-e-maqtal-e-jaan Mein Lahu Lahu Main Tha is written by Alamtaab Tishna. Read famous Poem Hisar-e-maqtal-e-jaan Mein Lahu Lahu Main Tha for youth and Student by Alamtaab Tishna. Free Download Hisar-e-maqtal-e-jaan Mein Lahu Lahu Main Tha in PDF.