Ek Junun Kahiye Use Jo Mere Sar Se Nikla

ek junun kahiye use jo mere sar se nikla

warna matlab na koi arz-e-hunar se nikla

koi manzil na mili panw jo ghar se nikla

phir safar pesh tha jab gard-e-safar se nikla

bach ke har-chand zamane ki nazar se nikla

samne ku-e-malamat tha jidhar se nikla

main bahut dur kahin chhoD chuka tha us ko

qafila phir meri hasrat ka kidhar se nikla

uTh ke us bazm se aa jaana kuchh aasan na tha

ek diwar se nikla hun jo dar se nikla

mai-kada dekha to yaad-e-gham-e-yaran aai

jam chhalka to lahu zaKHm-e-jigar se nikla

bhiD ke KHauf se phir ghar ki taraf lauT aaya

ghar se jab shahr mein tanhai ke Dar se nikla

paD gaya waqt to sadiyon ke bharam TuT gae

kaam kuchh sham se nikla na sahar se nikla

(681) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Junun Kahiye Use Jo Mere Sar Se Nikla In English By Famous Poet Aleem Masroor. Ek Junun Kahiye Use Jo Mere Sar Se Nikla is written by Aleem Masroor. Read famous Poem Ek Junun Kahiye Use Jo Mere Sar Se Nikla for youth and Student by Aleem Masroor. Free Download Ek Junun Kahiye Use Jo Mere Sar Se Nikla in PDF.