Main Lauh-e-arz Par Nazil Hua Sahifa Hun
main lauh-e-arz par nazil hua sahifa hun
dilon pe sabt hun peshaniyon pe likkha hun
purani rut mera muzhda suna ke jati hai
nai ruton ke jilau mein sada utarta hun
main kaun hun mujhe sab puchhne se Darte hain
main roz ek nae karb se guzarta hun
main ek zinda haqiqat hun kaun jhuTlae
jo honT band rahen aankh se chhalakta hun
khuli hawa mein jo aaun to rakh ban jaun
abhi main zer-e-zamin hun magar ubalta hun
kisi tarah to saweron ki aankh khul jae
main shahr shahr mein suraj uThae chalta hun
(2681) Peoples Rate This