Kabhi Jo Nur Ka Mazhar Raha Hai

kabhi jo nur ka mazhar raha hai

wo kin tarikiyon mein mar raha hai

kisi suraj ka TukDa toD laen

zamin ka jism ThanDa paD raha hai

kahin aasar DhunDen zindagi ke

kabhi ye chand mera ghar raha hai

mata-e-asman bhi luT na jae

sitare par sitara gir raha hai

hawa mein lafz likkhe ja rahe hain

koi zaKHmi parinda uD raha hai

(1428) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Jo Nur Ka Mazhar Raha Hai In English By Famous Poet Ali Akbar Abbas. Kabhi Jo Nur Ka Mazhar Raha Hai is written by Ali Akbar Abbas. Read famous Poem Kabhi Jo Nur Ka Mazhar Raha Hai for youth and Student by Ali Akbar Abbas. Free Download Kabhi Jo Nur Ka Mazhar Raha Hai in PDF.