Lahu Pukarta Hai

lahu pukarta hai

har taraf pukarta hai

sahar ho, sham ho, KHamoshi ho ki hangama

julus-e-gham ho ki bazm-e-nashat-arai

lahu pukarta hai

lahu pukarta hai jaise KHushk sahra mein

pukara karte the paighambaran-e-israil

zamin ke sine se aur aastin-e-qatil se

gulu-e-kushta se behis zaban-e-KHanjar se

sada lapakti hai har samt harf-e-haq ki tarah

magar wo kan jo bahre hain sun nahin sakte

magar wo qalb jo sangin hain hil nahin sakte

ki un mein ahl-e-hawas ki sada ka sisa hai

wo jhukte rahte hain lab-ha-e-iqtidar ki samt

wo sunte rahte hain bas hukm-e-hakiman-e-jahan

tawaf karte hain arbab-e-gir-o-dar ke gird

magar lahu to hai be-bak o sarkash o chaalak

ye shoala mai ke piyale mein jag uThta hai

libas-e-atlas-o-diba mein sarsaraata hai

ye damanon ko pakaDta hai shah-rahon mein

khaDa hua nazar aata hai dad-gahon mein

zamin sameT na paegi us ki banhon mein

chhalak rahe hain samundar sarak rahe hain pahaD

lahu pukar raha hai lahu pukarega

ye wo sada hai jise qatl kar nahin sakte

(1432) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lahu Pukarta Hai In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Lahu Pukarta Hai is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Lahu Pukarta Hai for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Lahu Pukarta Hai in PDF.