Juda Kiya To Bahut Hi Hansi-KHushi Usne

juda kiya to bahut hi hansi-KHushi us ne

badal diya hai ab andaz-e-be-ruKHi us ne

wo rang rang uDa KHushbuon mein phail gaya

jhaTak diya hai mera daman-e-tahi us ne

jise suna ke mujhe KHauf-e-sar-zanish sa raha

usi kalam pe baDh-chaDh ke dad di us ne

wo mere sath shuru-e-safar chala tha magar

hujum-e-shahr mein li rah aur hi us ne

hua hun jurat-e-jurm-e-wafa se bhi mahrum

saza ye di ki KHata meri baKHsh di us ne

ab apni koi sada hai na apna koi pata

pila diya hai mujhe zahr-e-agahi us ne

dar-e-sukut pe 'haali' bahut hai shor-e-sada

bapa kiya hai wo tufan-e-KHamushi us ne

(718) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Juda Kiya To Bahut Hi Hansi-KHushi Usne In English By Famous Poet Alimullah Hali. Juda Kiya To Bahut Hi Hansi-KHushi Usne is written by Alimullah Hali. Read famous Poem Juda Kiya To Bahut Hi Hansi-KHushi Usne for youth and Student by Alimullah Hali. Free Download Juda Kiya To Bahut Hi Hansi-KHushi Usne in PDF.