Na-shanasi Ka Hamesha Gham Raha

na-shanasi ka hamesha gham raha

aaina bhi apna na-mahram raha

aag hai us par hai ye be-shoalagi

apne jalne ka ajab aalam raha

sare unche ghar hawa ki zad mein the

mera malba tha jo mustahkam raha

main bhi sail-e-arzu mein bah gaya

wo bhi gharq-e-garmi-e-shabnam raha

hum gire bhi to ana ke ghaar mein

TuTte par bhi wahi dam-KHam raha

ab hai 'haali' be-niyazi ka KHala

ab kahan ehsas-e-besh-o-kam raha

(671) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na-shanasi Ka Hamesha Gham Raha In English By Famous Poet Alimullah Hali. Na-shanasi Ka Hamesha Gham Raha is written by Alimullah Hali. Read famous Poem Na-shanasi Ka Hamesha Gham Raha for youth and Student by Alimullah Hali. Free Download Na-shanasi Ka Hamesha Gham Raha in PDF.