Amin-e-raaz Hai Mardan-e-hur Ki Darweshi

amin-e-raaz hai mardan-e-hur ki darweshi

ki jibrail se hai us ko nisbat-e-KHweshi

kise KHabar ki safine Dubo chuki kitne

faqih o sufi o shair ki na-KHush-andeshi

nigah-e-garm ki sheron ke jis se hosh uD jaen

na aah-e-sard ki hai gosfandi o meshi

tabib-e-ishq ne dekha mujhe to farmaya

tera maraz hai faqat aarzu ki be-nishi

wo shai kuchh aur hai kahte hain jaan-e-pak jise

ye rang o nam ye lahu aab o nan ki hai beshi

(2234) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Amin-e-raaz Hai Mardan-e-hur Ki Darweshi In English By Famous Poet Allama Iqbal. Amin-e-raaz Hai Mardan-e-hur Ki Darweshi is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Amin-e-raaz Hai Mardan-e-hur Ki Darweshi for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Amin-e-raaz Hai Mardan-e-hur Ki Darweshi in PDF.