Anokhi Waza Hai Sare Zamane Se Nirale Hain

anokhi waza hai sare zamane se nirale hain

ye aashiq kaun si basti ke ya-rab rahne wale hain

ilaj-e-dard mein bhi dard ki lazzat pe marta hun

jo the chhaalon mein kanTe nok-e-sozan se nikale hain

phala-phula rahe ya-rab chaman meri umidon ka

jigar ka KHun de de kar ye buTe main ne pale hain

rulati hai mujhe raaton ko KHamoshi sitaron ki

nirala ishq hai mera nirale mere nale hain

na puchho mujh se lazzat KHanaman-barbaad rahne ki

nasheman saikDon main ne bana kar phunk Dale hain

nahin beganagi achchhi rafiq-e-rah-e-manzil se

Thahar ja ai sharar hum bhi to aaKHir miTne wale hain

umid-e-hur ne sab kuchh sikha rakkha hai waiz ko

ye hazrat dekhne mein sidhe-sadhe bhole bhaale hain

mere ashaar ai 'iqbaal' kyun pyare na hon mujh ko

mere TuTe hue dil ke ye dard-angez nale hain

(2268) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Anokhi Waza Hai Sare Zamane Se Nirale Hain In English By Famous Poet Allama Iqbal. Anokhi Waza Hai Sare Zamane Se Nirale Hain is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Anokhi Waza Hai Sare Zamane Se Nirale Hain for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Anokhi Waza Hai Sare Zamane Se Nirale Hain in PDF.