Aql Go Aastan Se Dur Nahin

aql go aastan se dur nahin

us ki taqdir mein huzur nahin

dil-e-bina bhi kar KHuda se talab

aankh ka nur dil ka nur nahin

ilm mein bhi surur hai lekin

ye wo jannat hai jis mein hur nahin

kya ghazab hai ki is zamane mein

ek bhi sahib-e-surur nahin

ek junun hai ki ba-shuur bhi hai

ek junun hai ki ba-shuur nahin

na-suburi hai zindagi dil ki

aah wo dil ki na-subur nahin

be-huzuri hai teri maut ka raaz

zinda ho tu to be-huzur nahin

har guhar ne sadaf ko toD diya

tu hi aamada-e-zuhur nahin

areni main bhi kah raha hun magar

ye hadis-e-kalim-o-tur nahin

(1981) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aql Go Aastan Se Dur Nahin In English By Famous Poet Allama Iqbal. Aql Go Aastan Se Dur Nahin is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Aql Go Aastan Se Dur Nahin for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Aql Go Aastan Se Dur Nahin in PDF.