Asar Kare Na Kare Sun To Le Meri Fariyaad

asar kare na kare sun to le meri fariyaad

nahin hai dad ka talib ye banda-e-azad

ye musht-e-KHak ye sarsar ye wusat-e-aflak

karam hai ya ki sitam teri lazzat-e-ijad

Thahar saka na hawa-e-chaman mein KHema-e-gul

yahi hai fasl-e-bahaari yahi hai baad-e-murad

qusur-war gharib-ud-dayar hun lekin

tera KHaraba farishte na kar sake aabaad

meri jafa-talabi ko duaen deta hai

wo dasht-e-sada wo tera jahan-e-be-buniyaad

KHatar-pasand tabiat ko sazgar nahin

wo gulsitan ki jahan ghat mein na ho sayyaad

maqam-e-shauq tere qudsiyon ke bas ka nahin

unhin ka kaam hai ye jin ke hausle hain ziyaad

(2965) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Asar Kare Na Kare Sun To Le Meri Fariyaad In English By Famous Poet Allama Iqbal. Asar Kare Na Kare Sun To Le Meri Fariyaad is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Asar Kare Na Kare Sun To Le Meri Fariyaad for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Asar Kare Na Kare Sun To Le Meri Fariyaad in PDF.