Tu Abhi Rahguzar Mein Hai Qaid-e-maqam Se Guzar

tu abhi rahguzar mein hai qaid-e-maqam se guzar

misr o hijaz se guzar paras o sham se guzar

jis ka amal hai be-gharaz us ki jaza kuchh aur hai

hur o KHiyam se guzar baada-o-jam se guzar

garche hai dil-kusha bahut husn-e-farang ki bahaar

taeak-e-buland-baal dana-o-dam se guzar

koh-shigaf teri zarb tujh se kushad-e-sharq-o-gharb

tegh-e-hilal ki tarah aish-e-niyam se guzar

tera imam be-huzur teri namaz be-surur

aisi namaz se guzar aise imam se guzar

(4181) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tu Abhi Rahguzar Mein Hai Qaid-e-maqam Se Guzar In English By Famous Poet Allama Iqbal. Tu Abhi Rahguzar Mein Hai Qaid-e-maqam Se Guzar is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Tu Abhi Rahguzar Mein Hai Qaid-e-maqam Se Guzar for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Tu Abhi Rahguzar Mein Hai Qaid-e-maqam Se Guzar in PDF.