Tha Jahan Madrasa-e-shiri-o-shahanshahi

tha jahan madrasa-e-shiri-o-shahanshahi

aaj in KHanqahon mein hai faqat rubahi

nazar aai na mujhe qafila-salaron mein

wo shabani ki hai tamhid-e-kalimul-lahi

lazzat-e-naghma kahan murgh-e-KHush-alhan ke liye

aah us bagh mein karta hai nafas kotahi

ek sarmasti o hairat hai sarapa tarik

ek sarmasti o hairat hai tamam aagahi

sifat-e-barq chamakta hai mera fikr-e-buland

ki bhaTakte na phiren zulmat-e-shab mein rahi

(1809) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tha Jahan Madrasa-e-shiri-o-shahanshahi In English By Famous Poet Allama Iqbal. Tha Jahan Madrasa-e-shiri-o-shahanshahi is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Tha Jahan Madrasa-e-shiri-o-shahanshahi for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Tha Jahan Madrasa-e-shiri-o-shahanshahi in PDF.