Tujhe Yaad Kya Nahin Hai Mere Dil Ka Wo Zamana

tujhe yaad kya nahin hai mere dil ka wo zamana

wo adab-gah-e-mohabbat wo nigah ka taziyana

ye butan-e-asr-e-hazir ki bane hain madrase mein

na ada-e-kafirana na tarash-e-azrana

nahin is khuli faza mein koi gosha-e-faraghat

ye jahan ajab jahan hai na qafas na aashiyana

rag-e-tak muntazir hai teri barish-e-karam ki

ki ajam ke mai-kadon mein na rahi mai-e-mughana

mere ham-safir ise bhi asar-e-bahaar samjhe

unhen kya KHabar ki kya hai ye nawa-e-ashiqana

mere KHak o KHun se tu ne ye jahan kiya hai paida

sila-e-shahid kya hai tab-o-tab-e-jawedana

teri banda-parwari se mere din guzar rahe hain

na gila hai doston ka na shikayat-e-zamana

(3767) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tujhe Yaad Kya Nahin Hai Mere Dil Ka Wo Zamana In English By Famous Poet Allama Iqbal. Tujhe Yaad Kya Nahin Hai Mere Dil Ka Wo Zamana is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Tujhe Yaad Kya Nahin Hai Mere Dil Ka Wo Zamana for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Tujhe Yaad Kya Nahin Hai Mere Dil Ka Wo Zamana in PDF.