Wahi Meri Kam-nasibi Wahi Teri Be-niyazi

wahi meri kam-nasibi wahi teri be-niyazi

mere kaam kuchh na aaya ye kamal-e-nai-nawazi

main kahan hun tu kahan hai ye makan ki la-makan hai

ye jahan mera jahan hai ki teri karishma-sazi

isi kashmakash mein guzrin meri zindagi ki raaten

kabhi soz-o-saz-e-'rumi' kabhi pech-o-tab-e-'raazi'

wo fareb-KHurda shahin ki pala ho kargason mein

use kya KHabar ki kya hai rah-o-rasm-e-shahbazi

na zaban koi ghazal ki na zaban se ba-KHabar main

koi dil-kusha sada ho ajami ho ya ki tazi

nahin faqr o saltanat mein koi imtiyaz aisa

ye sipah ki tegh-bazi wo nigah ki tegh-bazi

koi karwan se TuTa koi bad-guman haram se

ki amir-e-karwan mein nahin KHu-e-dil-nawazi

(3304) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahi Meri Kam-nasibi Wahi Teri Be-niyazi In English By Famous Poet Allama Iqbal. Wahi Meri Kam-nasibi Wahi Teri Be-niyazi is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Wahi Meri Kam-nasibi Wahi Teri Be-niyazi for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Wahi Meri Kam-nasibi Wahi Teri Be-niyazi in PDF.