Wo Harf-e-raaz Ki Mujhko Sikha Gaya Hai Junun

wo harf-e-raaz ki mujh ko sikha gaya hai junun

KHuda mujhe nafas-e-jabrail de to kahun

sitara kya meri taqdir ki KHabar dega

wo KHud faraKHi-e-aflak mein hai KHwar o zubun

hayat kya hai KHayal o nazar ki majzubi

KHudi ki maut hai andesha-ha-e-guna-gun

ajab maza hai mujhe lazzat-e-KHudi de kar

wo chahte hain ki main apne aap mein na rahun

zamir-e-pak o nigah-e-buland o masti-e-shauq

na mal-o-daulat-e-qarun na fikr-e-aflatun

sabaq mila hai ye meraj-e-mustafa se mujhe

ki aalam-e-bashariyat ki zad mein hai gardun

ye kaenat abhi na-tamam hai shayad

ki aa rahi hai damadam sada-e-kun-fayakun

ilaj aatish-e-'rumi' ke soz mein hai tera

teri KHirad pe hai ghaalib firangiyon ka fusun

usi ke faiz se meri nigah hai raushan

usi ke faiz se mere subu mein hai jehun

(4816) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Harf-e-raaz Ki Mujhko Sikha Gaya Hai Junun In English By Famous Poet Allama Iqbal. Wo Harf-e-raaz Ki Mujhko Sikha Gaya Hai Junun is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Wo Harf-e-raaz Ki Mujhko Sikha Gaya Hai Junun for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Wo Harf-e-raaz Ki Mujhko Sikha Gaya Hai Junun in PDF.