Main To Main Ghair Ko Marne Se Ab Inkar Nahin

main to main ghair ko marne se ab inkar nahin

ek qayamat hai tere hath mein talwar nahin

kuchh pata manzil-e-maqsud ka paya hum ne

jab ye jaana ki hamein taqat-e-raftar nahin

chashm-e-bad-dur bahut phirte hain aghyar ke sath

ghairat-e-ishq se ab tak wo KHabar-dar nahin

ho chuka naz uThane mein hai go kaam tamam

lillahil-hamd ki baham koi takrar nahin

muddaton rashk ne aghyar se milne na diya

dil ne aaKHir ye diya hukm ki kuchh aar nahin

asl maqsud ka har chiz mein milta hai pata

warna hum aur kisi shai ke talabgar nahin

baat jo dil mein chhupate nahin banti 'haali'

saKHt mushkil hai ki wo qabil-e-izhaar nahin

(888) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main To Main Ghair Ko Marne Se Ab Inkar Nahin In English By Famous Poet Altaf Hussain Hali. Main To Main Ghair Ko Marne Se Ab Inkar Nahin is written by Altaf Hussain Hali. Read famous Poem Main To Main Ghair Ko Marne Se Ab Inkar Nahin for youth and Student by Altaf Hussain Hali. Free Download Main To Main Ghair Ko Marne Se Ab Inkar Nahin in PDF.