Koi Mahram Nahin Milta Jahan Mein

koi mahram nahin milta jahan mein

mujhe kahna hai kuchh apni zaban mein

qafas mein ji nahin lagta kisi tarah

laga do aag koi aashiyan mein

koi din bul-hawas bhi shad ho len

dhara kya hai ishaaraat-e-nihan mein

kahin anjam aa pahuncha wafa ka

ghula jata hun ab ke imtihan mein

naya hai lijiye jab nam us ka

bahut wusat hai meri dastan mein

dil-e-pur-dard se kuchh kaam lunga

agar fursat mili mujh ko jahan mein

bahut ji KHush hua 'haali' se mil kar

abhi kuchh log baqi hain jahan mein

(1129) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Mahram Nahin Milta Jahan Mein In English By Famous Poet Altaf Hussain Hali. Koi Mahram Nahin Milta Jahan Mein is written by Altaf Hussain Hali. Read famous Poem Koi Mahram Nahin Milta Jahan Mein for youth and Student by Altaf Hussain Hali. Free Download Koi Mahram Nahin Milta Jahan Mein in PDF.