Uske Jate Hi Ye Kya Ho Gai Ghar Ki Surat

us ke jate hi ye kya ho gai ghar ki surat

na wo diwar ki surat hai na dar ki surat

kis se paiman-e-wafa bandh rahi hai bulbul

kal na pahchan sakegi gul-e-tar ki surat

hai gham-e-roz-e-judai na nashat-e-shab-e-wasl

ho gai aur hi kuchh sham-o-sahar ki surat

apni jebon se rahen sare namazi hushyar

ek buzurg aate hain masjid mein KHizar ki surat

dekhiye shaiKH musawwir se khiche ya na khiche

surat aur aap se be-aib bashar ki surat

waizo aatish-e-dozaKH se jahan ko tum ne

ye Daraya hai ki KHud ban gae Dar ki surat

kya KHabar zahid-e-qane ko ki kya chiz hai hirs

us ne dekhi hi nahin kisa-e-zar ki surat

main bacha tir-e-hawadis se nishana ban kar

aaDe aai meri taslim-e-sipar ki surat

shauq mein us ke maza dard mein us ke lazzat

naseho us se nahin koi mafar ki surat

hamla apne pe bhi ek baad-e-hazimat hai zarur

rah gai hai yahi ek fath o zafar ki surat

rahnumaon ke hue jate hain ausan KHata

rah mein kuchh nazar aati hai KHatar ki surat

yun to aaya hai tabahi mein ye beDa sau bar

par Daraati hai bahut aaj bhanwar ki surat

un ko 'haali' bhi bulate hain ghar apne mehman

dekhna aap ki aur aap ke ghar ki surat

(1142) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uske Jate Hi Ye Kya Ho Gai Ghar Ki Surat In English By Famous Poet Altaf Hussain Hali. Uske Jate Hi Ye Kya Ho Gai Ghar Ki Surat is written by Altaf Hussain Hali. Read famous Poem Uske Jate Hi Ye Kya Ho Gai Ghar Ki Surat for youth and Student by Altaf Hussain Hali. Free Download Uske Jate Hi Ye Kya Ho Gai Ghar Ki Surat in PDF.