Ranj Aur Ranj Bhi Tanhai Ka

ranj aur ranj bhi tanhai ka

waqt pahuncha meri ruswai ka

umr shayad na kare aaj wafa

kaTna hai shab-e-tanhai ka

tum ne kyun wasl mein pahlu badla

kis ko dawa hai shakebai ka

ek din rah pe ja pahunche hum

shauq tha baadiya-paimai ka

us se nadan hi ban kar miliye

kuchh ijara nahin danai ka

sat pardon mein nahin Thaharti aankh

hausla kya hai tamashai ka

darmiyan pa-e-nazar hai jab tak

hum ko dawa nahin binai ka

kuchh to hai qadr tamashai ki

hai jo ye shauq KHud-arai ka

us ko chhoDa to hai lekin ai dil

mujh ko Dar hai teri KHud-rai ka

bazm-e-dushman mein na ji se utra

puchhna kya teri zebai ka

yahi anjam tha ai fasl-e-KHizan

gul o bulbul ki shanasai ka

madad ai jazba-e-taufiq ki yan

ho chuka kaam tawanai ka

mohtasib uzr bahut hain lekin

izn hum ko nahin goyai ka

honge 'haali' se bahut aawara

ghar abhi dur hai ruswai ka

(811) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ranj Aur Ranj Bhi Tanhai Ka In English By Famous Poet Altaf Hussain Hali. Ranj Aur Ranj Bhi Tanhai Ka is written by Altaf Hussain Hali. Read famous Poem Ranj Aur Ranj Bhi Tanhai Ka for youth and Student by Altaf Hussain Hali. Free Download Ranj Aur Ranj Bhi Tanhai Ka in PDF.