Hain Jalwa-e-tan Se Dar-o-diwar Basanti

hain jalwa-e-tan se dar-o-diwar basanti

poshak jo pahne hai mera yar basanti

kya fasl-e-bahaari ne shagufe hain khilae

mashuq hain phirte sar-e-bazar basanti

genda hai khila bagh mein maidan mein sarson

sahra wo basanti hai ye gulzar basanti

us rashk-e-masiha ka jo ho jae ishaara

aankhon se bane nargis-e-bimar basanti

gendon ke daraKHton mein numayan nahin gende

har shaKH ke sar par hai ye dastar basanti

munh zard dupaTTe ke na aanchal se chhupao

ho jae na rang-e-gul-e-ruKHsar basanti

khilti hai mere shoKH pe har rang ki poshak

udi, agari, champai, gulnar, basanti

hai lutf hasinon ki do-rangi ka 'amanat'

do chaar gulabi hon to do chaar basanti

(873) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hain Jalwa-e-tan Se Dar-o-diwar Basanti In English By Famous Poet Amanat Lakhnavi. Hain Jalwa-e-tan Se Dar-o-diwar Basanti is written by Amanat Lakhnavi. Read famous Poem Hain Jalwa-e-tan Se Dar-o-diwar Basanti for youth and Student by Amanat Lakhnavi. Free Download Hain Jalwa-e-tan Se Dar-o-diwar Basanti in PDF.