Kahin Salib Kahin Karbala Nazar Aae
kahin salib kahin karbala nazar aae
jidhar nigah uThe zaKHm sa nazar aae
bujhi hai pyas zamin ki to ye tapish kyun hai
wo abr hai to barasta hua nazar aae
baja hai apni aqidat magar sawal ye hai
wo aadmi ho to kyunkar KHuda nazar aae
chalo ki gher len us ko lahu lahu chehre
har ek samt use aaina nazar aae
hamin ne tan se juda kar liya hai sar apna
bas ek hum the jo sab se juda nazar aae
kahan kahan abhi imkan-e-zindagi hai 'amir'
dhuan chhaTe to koi rasta nazar aae
(688) Peoples Rate This