KHauf Ban Kar Ye KHayal Aata Hai Aksar Mujhko

KHauf ban kar ye KHayal aata hai aksar mujh ko

dasht kar jaega ek rose samundar mujh ko

main sarapa hun KHabar-nama-e-imroz-e-jahan

kal bhula de na ye duniya kahin paDh kar mujh ko

har nafas mujh mein taghayyur ki hawae larzan

murtasim kar na saka koi bhi manzar mujh ko

apne sahil pe main KHud tishna-dahan baiTha hun

dekh dariya ki tarai se nikal kar mujh ko

mere sae mein bhi mujh ko nahin rahne dega

mere hi ghar mein rakhega koi be-ghar mujh ko

kargar koi bhi tadbir na hone dega

kya muqaddar hai ki le jaega dar-dar mujh ko

kaam aaegi na bedar-nigahi bhi 'amir'

KHwab kah jaega ek din mera paikar mujh ko

(880) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHauf Ban Kar Ye KHayal Aata Hai Aksar Mujhko In English By Famous Poet Ameer Qazalbash. KHauf Ban Kar Ye KHayal Aata Hai Aksar Mujhko is written by Ameer Qazalbash. Read famous Poem KHauf Ban Kar Ye KHayal Aata Hai Aksar Mujhko for youth and Student by Ameer Qazalbash. Free Download KHauf Ban Kar Ye KHayal Aata Hai Aksar Mujhko in PDF.