Ba-majburi Har Ek Ranj-o-mehan Likhna PaDa Mujhko

ba-majburi har ek ranj-o-mehan likhna paDa mujh ko

bana kar KHud ko mauzu-e-suKHan likhna paDa mujh ko

zabanen jin ki qainchi ki tarah chalti thin shauhar par

unhen shirin-zaban shirin-dahan likhna paDa mujh ko

har ek mahfil mein jalwon ki jo rishwat pesh karti thin

wo jaisi bhi thin jaan-e-anjuman likhna paDa mujh ko

meri majburiyon ne nazuki ka KHun kar Dala

har ek gobhi-badan ko gul-badan likhna paDa mujh ko

jab ek alhaD bani dulhan kisi bosida shauhar ki

to us ke surKH joDe ko kafan likhna paDa mujh ko

wo jin ki umr ki ghaDiyan nihayat sust chalti hain

sanad se un ki paidaish ka san likhna paDa mujh ko

basa-auqat hurmat bhi qalam ki daw par rakh di

luTeron ko muhibban-e-watan likhna paDa mujh ko

haqiqat ye hai wo bachche na mujrim the na qatil the

to sab ka qissa-e-dar-o-rasan likhna paDa mujh ko

wo be-hangam si jin ko dekh kar main tauba karta tha

ba-majburi unhen tauba-shikan likhna paDa mujh ko

bahut mushkil tha jin ko DhunDna make-up ke malbe se

so andaze se un ka bankpan likhna paDa mujh ko

(702) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ba-majburi Har Ek Ranj-o-mehan Likhna PaDa Mujhko In English By Famous Poet Ameerul Islam Hashmi. Ba-majburi Har Ek Ranj-o-mehan Likhna PaDa Mujhko is written by Ameerul Islam Hashmi. Read famous Poem Ba-majburi Har Ek Ranj-o-mehan Likhna PaDa Mujhko for youth and Student by Ameerul Islam Hashmi. Free Download Ba-majburi Har Ek Ranj-o-mehan Likhna PaDa Mujhko in PDF.