Shab Ko Jab Yurish-e-wijdan Mein Aa Jate Hain

shab ko jab yurish-e-wijdan mein aa jate hain

tirgi hum tere aiwan mein aa jate hain

jab nazar uThti hai aawaz ke minaron par

zawiye dida-e-hairan mein aa jate hain

kuchh hawaen bhi uDa lain nishan-e-nisyan

kuchh sitare mere daman mein aa jate hain

tazkira hone laga zabt ki mehrabon pur

shor-e-talKHwish mere kan mein aa jate hain

aaine manzar-e-shab-tab liye phirte hain

zalzale chashm-e-bayaban mein aa jate hain

baDh ke ab dastak-e-awaz lagao 'amir'

dar dariche had-e-imkan mein aa jate hain

(797) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab Ko Jab Yurish-e-wijdan Mein Aa Jate Hain In English By Famous Poet Amir Nazar. Shab Ko Jab Yurish-e-wijdan Mein Aa Jate Hain is written by Amir Nazar. Read famous Poem Shab Ko Jab Yurish-e-wijdan Mein Aa Jate Hain for youth and Student by Amir Nazar. Free Download Shab Ko Jab Yurish-e-wijdan Mein Aa Jate Hain in PDF.